Khayal Tarq E Muhabbat
Khayal Tarq E Muhabbat Bajaa Sahi Lekin, Hui Na Yoon Bhi Hamari Guzar To Kya Ho Ga...
Khayal Tarq E Muhabbat Bajaa Sahi Lekin, Hui Na Yoon Bhi Hamari Guzar To Kya Ho Ga...
Yoon Muhabbat Se Na Hum Khana Badoshon Ko Bula, Itne Saada Hain K Ghar Baar Utha Laayen Ge...
Na Tha Kuch To Khuda Tha Kuch Na Hota To Khuda Hota, Diboya Mujhi Ko Hone Ne, Na Hota Main To Kya Hota...
Chand Tasveer E Butaan Chand Haseeno K Khatoot, Baad Marne K Mere Ghar Se Yeh Samaan Nikla...
Muddat Guzar Gai K Yeh Aalam Hai Mustaqil, Koi Sabab Nahi Hai Magar Dil Udaas Hai...
Yeh Ajab Qayamaten Hain Teri Rehguzar Mein Guzaari, Na Ho K Mar Mitten Hum, Na Ho K Jee Uthen Hum...
Kahan Tak Sune Gi Raat Kahan Tak Sunayen Ge Hum, Shikwe Saare Aaj Tere Rubaru Karen...
Aap Pehlu Mein Jo Bethen To Dil Tham K Bethen, Dil-E-Betaab Ko Aadat Hai Machal Jaane Ki...
Zikar Ik Roz Palatne Ka Kiya Tha Tum Ne, Ik Diya Zulf K Saye Mein Jala Rakha Hai...
Ajeeb Si Afra Tafri Hai Hamari Zaat Mein Lekin, Humein To Be Dheyani Mein Bhi Tumhara Dheyan Rehta Hai..
Ab Yeh Socha Hai K Apni Zaat Mein Simte Rahen, Hum Ne Kar K Dekh Li Sab Se Shanasai Bohat...
Kaise Guzar Rahi Hai Sabhi Poochte Hain, Kaise Guzaar Raha Hoon Poochta Koi Nahi...
Kab Thehre Ga Dard Aye Dil Kab Raat Basar Ho Gi, Sunte Thy Woh Aayen Ge Sunte Thy Sehar Ho Gi...
Dil Yeh Kehta Hai K Shayed Ho Afsurda Tu Bhi, Dil Ki Kya Baat Karen Dil To Hai Nadaan Janaan...
Pehle Kabhi Duniya Se Muhabbat Nahi Maangi, Yeh Qehhat Teri Muhabbat K Baad Para Hai...
Kaam Aa Saken Na Apni Wafayen To Kya Karen, Uss Bewafa Ko Bhool Na Jayen To Kya Karen....
Khoob Nibhe Gi Hum Dono Mein, Mere Jaisa Tu Bhi Hai, Thora Jhoota Main Bhi Hoon, Thora Jhoota Tu Bhi Hai...
Log Kehte Hain Muhabbat Mein Asar Hota Hai, Kis Shehar Mein Hota Hai ? Kidher Hota Hai ?