Hum Parwarish-e-Loh-o-Qalam Karte Rahen Ge,
Jo Dil Pe Guzarti Hai Raqam Karte Rahen Ge,
Asbaab-e-Ghum-e-Ishq Baham Karte Rahen Ge,
Weerani-e-Dooran Pe Karam Karte Rahen Ge,
Haan Talkhi-e-Ayaam Abhi Aur Barhe Gi,
Haan Ehl-e-Sitam Mashaq-e-Sitam Karte Rahen Ge,
Manzoor Yeh Talkhi Yeh Sitam Hum Ko Gawara,
Dum Hai To Madawa-e-Alam Karte Rahen Ge,
Meh Khana Salamat Hai To Hum Surkhi-e-Meh Se,
Tazeen-e-Dar-o-Baam-e-Haram Karte Rahen Ge,
Baaki Hai Lahoo Dil Mein To Har Ashk Se Paida,
Rang-e-Lab-o-Rukhsar-e-Sanam Karte Rahen Ge,
Ik Tarz-e-Tughaful Hai To Woh Un Ko Mubarak,
Ik Arz-e-Tammana Hai So Hum Karte Rahen Ge...