Sach Hai Hum Hi Ko Aap K Shikwe Baja Na Thy,
Beshak Sab Sitam Janab K Dostana Thy,
Haan Jo Jafa Bhi Aap Ne Ki Qayede Se Ki,
Haan Hum Hi Kar Band-E-Asool-E-Wafa Na Thy,
Aaye To Yoon K Jaise Hamesha Thy Mehrbaan,
Bhoole To Yoon K Goya Kabhi Aashna Na Thy,
Kyun Daad-E-Ghum Hum Ne Talab Ki Bura Kiya,
Hum Se Jahan Mein Kushta-E-Ghum Aur Kya Na Thy,
Agar Fikar-E-Zakham Ki To Khatawar Hain K Hum,
Kyun Mehv-E-Madh-E-Khub-E-Teg-E-Ada Na Thy,
Lab Per Hai Talkhi-E-Mey-E-Ayaam Warna Faiz,
Hum Talkhi-E-Kalaam Pe Mayel Zara Na Thy...